mohabbaton ki hadon se guzar ke jaun main
mohabbatoñ kī hadoñ se guzar ke jā.ūñ maiñ
tirī galī meñ jo aa.uuñ to mar ke jā.ūñ maiñ
jalā duuñ sab ke diloñ meñ mohabbatoñ ke charāġh
tamām zaḳhm zamīnoñ ke bhar ke jā.ūñ maiñ
use patā thā mujhe tairnā nahīñ aatā
lagā dī shart nadī paar kar ke jā.ūñ maiñ
udaas dekh ke mujh ko na ghar udaas ho jaa.e
ḳhushī ke rangoñ ko chehre pe bhar ke jā.ūñ maiñ
mohabbaton ki hadon se guzar ke jaun main
teri gali mein jo aaun to mar ke jaun main
jala dun sab ke dilon mein mohabbaton ke charagh
tamam zaKHm zaminon ke bhar ke jaun main
use pata tha mujhe tairna nahin aata
laga di shart nadi par kar ke jaun main
udas dekh ke mujh ko na ghar udas ho jae
KHushi ke rangon ko chehre pe bhar ke jaun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.