mohabbaton ki kitab mein jo likha hua hai wo shairi hai
mohabbatoñ kī kitāb meñ jo likhā huā hai vo shā'irī hai
yaqīn maano nazar se ojhal jo ho gayā hai vo shā'irī hai
maiñ phuul shabnam se mil ke aayā bahut satā.e hue haiñ ye bhī
jo zaḳhm kāñToñ se khaa.e sab ne mujhe pata hai vo shā'irī hai
mujhe ḳhabar hai mujhe pata hai du'ā se baḌh kar nahīñ hai kuchh bhī
magar maiñ ye bhī to jāntā huuñ jo ratjagā hai vo shā'irī hai
maiñ lauT aayā huuñ qatl-gah se nahīñ hai koī masīhā merā
jo girte girte mujhe sañbhāle mujhe pata hai vo shā'irī hai
bhaTak rahā huuñ maiñ sahrā sahrā na jaane kis kī talāsh meñ ab
jo mil gayā hai nasīb merā jo rah gayā hai vo shā'irī hai
gulāb champā chañbelī nargis haiñ mogrā bhī chaman meñ lekin
vo jis kī ḳhushbū se saarā 'ālam mahak rahā hai vo shā'irī hai
jo mere hisse meñ likh diyā hai hai merā īmāñ mujhe milegā
magar maiñ kaise batā.ūñ tum ko jo kuchh bachā hai vo shā'irī hai
qadam qadam par jo saath mere chalā hai us ko batā.ūñ kaise
suḳhanvaroñ kī jo Thokaroñ meñ paḌā huā hai vo shā'irī hai
mujhe na dā'vā hai shā'irī kā na huuñ maiñ shā'ir qasam ḳhudā kī
jo 'mīr'-o-'ġhālib' 'farāz' 'hasrat' ne likh diyā hai vo shā'irī hai
vo thartharāte se hoñT us ke ġhazāl āñkhoñ pe zulfeñ us kī
hasīn manzar ko dekh kar vo jo likh rahā hai vo shā'irī hai
use zamāne kā ḳhauf kyā ho ki jis pe 'ahmad' karam ho us kā
basā ho jis ke ḳhayāl meñ rab mujhe pata hai vo shā'irī hai
mohabbaton ki kitab mein jo likha hua hai wo sha'iri hai
yaqin mano nazar se ojhal jo ho gaya hai wo sha'iri hai
main phul shabnam se mil ke aaya bahut satae hue hain ye bhi
jo zaKHm kanTon se khae sab ne mujhe pata hai wo sha'iri hai
mujhe KHabar hai mujhe pata hai du'a se baDh kar nahin hai kuchh bhi
magar main ye bhi to jaanta hun jo ratjaga hai wo sha'iri hai
main lauT aaya hun qatl-gah se nahin hai koi masiha mera
jo girte girte mujhe sanbhaale mujhe pata hai wo sha'iri hai
bhaTak raha hun main sahra sahra na jaane kis ki talash mein ab
jo mil gaya hai nasib mera jo rah gaya hai wo sha'iri hai
gulab champa chanbeli nargis hain mogra bhi chaman mein lekin
wo jis ki KHushbu se sara 'alam mahak raha hai wo sha'iri hai
jo mere hisse mein likh diya hai hai mera iman mujhe milega
magar main kaise bataun tum ko jo kuchh bacha hai wo sha'iri hai
qadam qadam par jo sath mere chala hai us ko bataun kaise
suKHanwaron ki jo Thokaron mein paDa hua hai wo sha'iri hai
mujhe na da'wa hai sha'iri ka na hun main sha'ir qasam KHuda ki
jo 'mir'-o-'ghaalib' 'faraaz' 'hasrat' ne likh diya hai wo sha'iri hai
wo thartharaate se honT us ke ghazal aankhon pe zulfen us ki
hasin manzar ko dekh kar wo jo likh raha hai wo sha'iri hai
use zamane ka KHauf kya ho ki jis pe 'ahmad' karam ho us ka
basa ho jis ke KHayal mein rab mujhe pata hai wo sha'iri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.