mohabbaton ki masafat se kaT ke dekhte kya
mohabbatoñ kī masāfat se kaT ke dekhte kyā
musāfir-e-shab-e-hijrāñ palaT ke dekhte kyā
surūr-e-ishq meñ gum ho ga.e the ham donoñ
havā-e-dāman-e-shab se lipaT ke dekhte kyā
tilism-e-yār rag o pai meñ Dhal rahā thaa, ham
nashāt o ġham ke sahīfe ulaT ke dekhte kyā
bahār-e-nau ko janam de rahī thī vasl kī shab
ham āfiyat kī rutoñ meñ simaT ke dekhte kyā
thā sail-e-hasrat-e-dil dushman-e-hayāt magar
rah-e-baqā bhī usī meñ thī haT ke dekhte kyā
mohabbaton ki masafat se kaT ke dekhte kya
musafir-e-shab-e-hijran palaT ke dekhte kya
surur-e-ishq mein gum ho gae the hum donon
hawa-e-daman-e-shab se lipaT ke dekhte kya
tilism-e-yar rag o pai mein Dhal raha tha, hum
nashat o gham ke sahife ulaT ke dekhte kya
bahaar-e-nau ko janam de rahi thi wasl ki shab
hum aafiyat ki ruton mein simaT ke dekhte kya
tha sail-e-hasrat-e-dil dushman-e-hayat magar
rah-e-baqa bhi usi mein thi haT ke dekhte kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.