mohabbaton ki ye wardaten koi sunega to kya kahega
mohabbaton ki ye wardaten koi sunega to kya kahega
Ameer Hamza Aazmi
MORE BYAmeer Hamza Aazmi
mohabbatoñ kī ye vārdāteñ koī sunegā to kyā kahegā
ye bahkī bahkī tumhārī bāteñ koī sunegā to kyā kahegā
raqābatoñ kī qayāmatoñ se khañDar meñ tabdīl ho rahī haiñ
hamārī chāhat kī kā.enāteñ koī sunegā to kyā kahegā
tumhāre ḳhat se ye lag rahā hai ki rote rote likhā hai tum ne
ye an-kahī sī tumhārī bāteñ koī sunegā to kyā kahegā
hamī haiñ mazlūm ham hī zālim hamī haiñ maqtūl ham hī qātil
hamī haiñ mohre hamī bisāteñ koī sunegā to kyā kahegā
tire tasavvur kā aanā jaanā mire taḳhayyul kī vādiyoñ meñ
baġhair dūlhe kī ye barāteñ koī sunegā to kyā kahegā
mohabbaton ki ye wardaten koi sunega to kya kahega
ye bahki bahki tumhaari baaten koi sunega to kya kahega
raqabaton ki qayamaton se khanDar mein tabdil ho rahi hain
hamari chahat ki kaenaten koi sunega to kya kahega
tumhaare KHat se ye lag raha hai ki rote rote likha hai tum ne
ye an-kahi si tumhaari baaten koi sunega to kya kahega
hami hain mazlum hum hi zalim hami hain maqtul hum hi qatil
hami hain mohre hami bisaten koi sunega to kya kahega
tere tasawwur ka aana jaana mere taKHayyul ki wadiyon mein
baghair dulhe ki ye baraaten koi sunega to kya kahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.