Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbaton mein hisab hoga ye tai kahan tha

Nilofar Noor

mohabbaton mein hisab hoga ye tai kahan tha

Nilofar Noor

MORE BYNilofar Noor

    mohabbatoñ meñ hisāb hogā ye tai kahāñ thā

    har ek lamha azaab hogā ye tai kahāñ thā

    ye tai huā thā vafā sham.a jalā karegī

    añdherā ham pe itaab hogā ye tai kahāñ thā

    ḳhizāñ na aa.egī zindagī meñ kabhī hamārī

    udaas belā gulāb hogā ye tai kahāñ thā

    hamārī nazreñ savāl ban kar uThā kareñgī

    sukūt-e-lab par javāb hogā ye tai kahāñ thā

    yaqīñ dilāyā thā saath mil kar rahā karoge

    ki beach apne chanāb hogā ye tai kahāñ thā

    azaab hoñgī palak jhapakne talak duurī

    visāl apnā bhī ḳhvāb hogā ye tai kahāñ thā

    ye phuul ban kar mahak uTheñge ḳhayāl mere

    mizāj itnā ḳharāb hogā ye tai kahāñ thā

    mujhe pukāreñge to kaheñge ḳhushī milegī

    ki naam apnā janāb hogā ye tai kahāñ thā

    mohabbaton mein hisab hoga ye tai kahan tha

    har ek lamha azab hoga ye tai kahan tha

    ye tai hua tha wafa ki shama jala karegi

    andhera hum pe itab hoga ye tai kahan tha

    KHizan na aaegi zindagi mein kabhi hamari

    udas bela gulab hoga ye tai kahan tha

    hamari nazren sawal ban kar uTha karengi

    sukut-e-lab par jawab hoga ye tai kahan tha

    yaqin dilaya tha sath mil kar raha karoge

    ki beach apne chanab hoga ye tai kahan tha

    azab hongi palak jhapakne talak ki duri

    visal apna bhi KHwab hoga ye tai kahan tha

    ye phul ban kar mahak uThenge KHayal mere

    mizaj itna KHarab hoga ye tai kahan tha

    mujhe pukarenge to kahenge KHushi milegi

    ki nam apna janab hoga ye tai kahan tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now