mohabbaton mein mujhe musht bhar kamai to de
mohabbatoñ meñ mujhe musht bhar kamā.ī to de
bane kaThor na vo dil talak rasā.ī to de
maiñ tujh ko ruuh kī gahrā.ī meñ utārūñgī
ye merā karb tirī aañkh meñ dikhā.ī to de
tilismī jaal meñ yādoñ ke tujh ko qaid karūñ
tū mere zehn ke dariyā ko rū-numā.ī to de
tū shab Dhale mire dil par utartī aayat hai
tire nuzūl kī aahaT mujhe sunā.ī to de
maiñ ik chinār ke saa.e meñ īstāda kalī
sabā kisī ke liye mujh ko ḳhush-numā.ī to de
'duā' hai us kī aziyyat-risānī mujh ko qubūl
vo apne lams kī ThanDak se āshnā.ī to de
mohabbaton mein mujhe musht bhar kamai to de
bane kaThor na wo dil talak rasai to de
main tujh ko ruh ki gahrai mein utarungi
ye mera karb teri aankh mein dikhai to de
tilismi jal mein yaadon ke tujh ko qaid karun
tu mere zehn ke dariya ko ru-numai to de
tu shab Dhale mere dil par utarti aayat hai
tere nuzul ki aahaT mujhe sunai to de
main ek chinar ke sae mein istada kali
saba kisi ke liye mujh ko KHush-numai to de
'dua' hai us ki aziyyat-risani mujh ko qubul
wo apne lams ki ThanDak se aashnai to de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.