mohabbaton mein wafa ka hisab dega kaun
mohabbatoñ meñ vafā kā hisāb degā kaun
añdherī shab ke liye āftāb degā kaun
tum apnī niiñd se jaago to ik savāl kareñ
ki rat-jagoñ kā hamāre hisāb degā kaun
agar rahegā yahī haal be-niyāzī kā
tumhāre haath meñ dil kī kitāb degā kaun
thakī thakī sī nazar ko kahāñ mayassar tum
ḳhizāñ ke daur meñ khiltā gulāb degā kaun
dil-o-nazar meñ khaTakte haiñ roz-o-shab 'mīnā'
ka.ī savāl ki jin kā javāb degā kaun
mohabbaton mein wafa ka hisab dega kaun
andheri shab ke liye aaftab dega kaun
tum apni nind se jago to ek sawal karen
ki rat-jagon ka hamare hisab dega kaun
agar rahega yahi haal be-niyazi ka
tumhaare hath mein dil ki kitab dega kaun
thaki thaki si nazar ko kahan mayassar tum
KHizan ke daur mein khilta gulab dega kaun
dil-o-nazar mein khaTakte hain roz-o-shab 'mina'
kai sawal ki jin ka jawab dega kaun
- Book : Jagti Aakhen (Pg. 46)
- Author : Dr. Meena Naqvi
- Publication : Aiwan-e-Adab Publishers, Delhi-6 (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.