mohtasib se huī dam bhar bhī jo mahfil ḳhālī
jī mirā jaam kā shīshe kā huā dil ḳhālī
himmat-e-pīr-e-muġhāñ dekh le zāhid chal kar
koī mai-ḳhāne se phirtā nahīñ saa.il ḳhālī
siina zaḳhmī hai jigar chuur hai dil ghāyal hai
vār-e-nezā koī jaatā nahīñ qātil ḳhālī
ahd-e-pīrī meñ ravāna hue yuuñ hosh-o-havas
sub.h ko jaise musāfir se ho manzil ḳhālī
mohtasib se hui dam bhar bhi jo mahfil KHali
ji mera jam ka shishe ka hua dil KHali
himmat-e-pir-e-mughan dekh le zahid chal kar
koi mai-KHane se phirta nahin sail KHali
sina zaKHmi hai jigar chur hai dil ghayal hai
war-e-neza koi jata nahin qatil KHali
ahd-e-piri mein rawana hue yun hosh-o-hawas
subh ko jaise musafir se ho manzil KHali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.