mohtasib se salah kijiyega
mohtasib se salāh kījiyegā
mai ko chande mubāh kījiyegā
nāma-bar mil rahā hai ġhair ke saath
ḳhat meñ kuchh istilāh kījiyegā
duḳhtar-e-raz ko dī talāq par ab
muġhbachoñ se nikāh kījiyegā
sub.h kā kaam shaam par to rakhā
shaam bolā sabāh kījiyegā
gar yahī Dol hai to kab 'qā.em'
sāz-o-barg-e-falāh kījiyegā
mohtasib se salah kijiyega
mai ko chande mubah kijiyega
nama-bar mil raha hai ghair ke sath
KHat mein kuchh istilah kijiyega
duKHtar-e-raz ko di talaq par ab
mughbachon se nikah kijiyega
subh ka kaam sham par to rakha
sham bola sabah kijiyega
gar yahi Dol hai to kab 'qaem'
saz-o-barg-e-falah kijiyega
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.