Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

moti moti TaTolte rahiye

Shareef Munawwar

moti moti TaTolte rahiye

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    Interesting Fact

    1969

    motī motī TaTolte rahiye

    ek ik lafz tolte rahiye

    band kiije kabhī darīchoñ ko

    kabhī darvāze kholte rahiye

    kyuuñ sar-e-anjuman rahe ḳhāmosh

    ab akele meñ bolte rahiye

    shahr dilkashī meñ kyā shak hai

    jeb ko bhī TaTolte rahiye

    bach ga.e haiñ agar samundar se

    apnī lahroñ meñ Dolte rahiye

    moti moti TaTolte rahiye

    ek ek lafz tolte rahiye

    band kije kabhi darichon ko

    kabhi darwaze kholte rahiye

    kyun sar-e-anjuman rahe KHamosh

    ab akele mein bolte rahiye

    shahr ki dilkashi mein kya shak hai

    jeb ko bhi TaTolte rahiye

    bach gae hain agar samundar se

    apni lahron mein Dolte rahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now