muaf kar meri masti KHuda-e-azza-wa-jal
mu'āf kar mirī mastī ḳhudā-e-azza-va-jal
ki mere haath meñ sāġhar hai mere lab pe ġhazal
karīm hai to mirī laġhzishoñ ko pyaar se dekh
rahīm hai to sazā-o-jazā kī had se nikal
hai dostī to mujhe izn-e-mezbānī de
tū āsmāñ se utar aur mirī zamīn pe chal
maiñ pā-ba-gil huuñ magar chhū chukā mināra-e-'arsh
so tū bhī dekh ye ḳhāk-o-ḳhashāra-o-jangal
bahut 'azīz hai mujh ko ye ḳhāk-dāñ merā
ye kohsār ye qulzum ye dasht ye daldal
mire jahāñ meñ zamān-o-makān-o-lail-o-nahār
tire jahāñ meñ azal hai abad na aaj na kal
mire lahū meñ hai barq-e-tapāñ kā jazb-o-gurez
tire subū meñ mai-e-zindagī na zahr-e-ajal
tirī bahisht hai dasht-e-jumūd-o-bahr-e-sukūt
mirī sarisht hai āshob-e-zāt se bekal
tū apne 'arsh pe shādāñ hai so ḳhushī terī
maiñ apne farsh pe nāzāñ huuñ ai nigār-e-azal
mujhe na jannat-e-gum-gashta kī bashārat de
ki mujh ko yaad abhī tak hai hijrat-e-avval
tire karam se yahāñ bhī mujhe mayassar hai
jo zāhidoñ kī 'ibādat meñ Dāltā hai ḳhalal
vo sair-chashm huuñ mere liye hai be-vaq'at
jamāl-e-hūr-o-sharāb-tahūr-o-shīr-o-‘asal
gunāhgār to huuñ par na is qadar ki mujhe
salīb roz-e-mukāfāt kī lage bojhal
kahīñ kahīñ koī laala kahīñ kahīñ koī daaġh
mirī bayāz kī sūrat hai merī fard-e-amal
vo tū ki ‘uqda-kushā-o-musabbib-ul-asbāb
ye maiñ ki aap mo'amma huuñ aap apnā hī hal
maiñ aap apnā hī hābīl apnā hī qābīl
mirī hī zaat hai maqtūl-o-qātil-o-maqtal
baras baras kī tarah thā nafas nafas merā
sadī sadī kī tarah kāTtā rahā pal pal
tirā vajūd hai lā-raib ashraf-o-ā’lā
jo sach kahūñ to nahīñ maiñ bhī arzal-o-asfal
ye vāqi’a hai ki shā'ir vo dekh saktā hai
rahe jo tere farishtoñ kī aañkh se ojhal
vo par-fishāñ haiñ magar ġhol-e-shapparak kī tarah
so rā.egāñ haiñ ki juuñ chashm-e-kor meñ kājal
mire liye to hai sau baḳhshishoñ kī ik baḳhshish
qalam jo afsar-o-tabl-o-‘alam se hai afzal
yahī qalam hai ki jis kī sitāra-sāzī se
diloñ meñ jot jagātī hai 'ishq kī mash'al
yahī qalam hai jo dukh kī rutoñ meñ baḳhshtā hai
diloñ ko pyaar kā marham sukūn kā sandal
yahī qalam hai ki e’jāz-e-harf se jis ke
tamām ‘ishva-tarāzān-e-shahr haiñ pāgal
yahī qalam hai ki jis ne mujhe ye dars diyā
ki sang-o-ḳhisht kī zad par raheñge shīsh-mahal
yahī qalam hai ki jis kī sarīr ke aage
haiñ surma dar-gulū ḳhūñḳhār lashkaroñ ke bigal
yahī qalam hai ki jis ke hunar se nikle haiñ
rah-e-hayāt ke ḳham hoñ ki zulf-e-yār ke bal
yahī qalam hai ki jis kī 'atā se mujh ko mile
ye chāhatoñ ke shagūfe mohabbatoñ ke kañval
tamām sīna-figāroñ ko yaad mere suḳhan
har ek ġhairat-e-mariyam ke lab pe merī ġhazal
isī ne sahl kiye mujh pe zindagī ke 'azāb
vo ahd-e-sang-zanī thā ki daur-e-teġh-e-ajal
isī ne mujh ko sujhā.ī hai rāh-e-ahl-e-safā
isī ne mujh se kahā hai pul-e-sirāt pe chal
isī ne mujh ko chaTānoñ ke hausle baḳhshe
vo karbalā-e-fanā thī ki kārgāh-e-jadal
isī ne mujh se kahā ism-e-ahl-e-sidq amar
isī ne mujh se kahā sach kā faisla hai aTal
isī ke faiz se ātish-kade hue gulzār
isī ke lutf se har zisht ban gayā ajmal
isī ne mujh se kahā jo milā bahut kuchh hai
isī ne mujh se kahā jo nahīñ hai haath na mal
isī ne mujh ko qanā'at kā boriyā baḳhshā
isī ke haath se dast-e-darāz-e-tam’ hai shal
isī kī aag se merā vajūd raushan hai
isī kī aab se merā zamīr hai saiqal
isī ne mujh se kahā bai'at-e-yazīd na kar
isī ne mujh se kahā maslak-e-husain pe chal
isī ne mujh se kahā zahr kā piyāla uThā
isī ne mujh se kahā jo kahā hai us se na Tal
isī ne mujh se kahā ‘ājizī se maat na khā
isī ne mujh se kahā maslahat kī chaal na chal
isī ne mujh se kahā ġhairat-e-suḳhan ko na bech
ki ḳhūn-e-dil ke sharaf ko na ashrafī se badal
isī ne mujh ko 'ināyat kiyā yad-e-baizā
isī ne mujh se kahā sehr-e-sāmrī se nikal
isī ne mujh se kahā 'aql tah-nashīnī hai
isī ne mujh se kahā varta-e-ḳhirad se nikal
isī ne mujh se kahā vaz'-e-'āshiqī ko na chhoḌ
vo ḳhvāh 'ijz kā lamha ho yā ġhurūr kā pal
aziyyatoñ meñ bhī baḳhshī mujhe vo ne'mat-e-sabr
ki mere dil meñ girah hai na mere māthe pe bal
haiñ sabt sīna-e-mahtāb par qadam mere
haiñ muntazir mire mirrīḳh-o-mushtarī-o-zuhal
tirī 'atā ke sabab yā merī anā ke sabab
kisī du'ā kā hai mauqa na iltijā kā mahal
so tujh sā hai koī ḳhāliq na mujh sī hai maḳhlūq
na koī terā hai saanī na koī merā badal
'farāz' tū bhī junūñ meñ kidhar gayā hai nikal
tirā dayār mohabbat tirī nigār ġhazal
qaaf
Tapak chukā hai bahut terī aañkh se ḳhūñ-nāb
baras chukā hai bahut tere dard kā bādal
kuchh aur der abhī hasrat-e-visāl meñ rah
kuchh aur der abhī ātish-e-firāq meñ jal
kisī bahār-e-shimā.il kī baat kar ki bane
har ek harf shagūfa har ek lafz kañval
mu'af kar meri masti KHuda-e-azza-wa-jal
ki mere hath mein saghar hai mere lab pe ghazal
karim hai to meri laghzishon ko pyar se dekh
rahim hai to saza-o-jaza ki had se nikal
hai dosti to mujhe izn-e-mezbani de
tu aasman se utar aur meri zamin pe chal
main pa-ba-gil hun magar chhu chuka minara-e-'arsh
so tu bhi dekh ye KHak-o-KHashaara-o-jangal
bahut 'aziz hai mujh ko ye KHak-dan mera
ye kohsar ye qulzum ye dasht ye daldal
mere jahan mein zaman-o-makan-o-lail-o-nahaar
tere jahan mein azal hai abad na aaj na kal
mere lahu mein hai barq-e-tapan ka jazb-o-gurez
tere subu mein mai-e-zindagi na zahr-e-ajal
teri bahisht hai dasht-e-jumud-o-bahr-e-sukut
meri sarisht hai aashob-e-zat se bekal
tu apne 'arsh pe shadan hai so KHushi teri
main apne farsh pe nazan hun ai nigar-e-azal
mujhe na jannat-e-gum-gashta ki bashaarat de
ki mujh ko yaad abhi tak hai hijrat-e-awwal
tere karam se yahan bhi mujhe mayassar hai
jo zahidon ki 'ibaadat mein Dalta hai KHalal
wo sair-chashm hun mere liye hai be-waq'at
jamal-e-hur-o-sharab-tahur-o-shir-o-‘asal
gunahgar to hun par na is qadar ki mujhe
salib roz-e-mukafat ki lage bojhal
kahin kahin koi lala kahin kahin koi dagh
meri bayaz ki surat hai meri fard-e-amal
wo tu ki ‘uqda-kusha-o-musabbib-ul-asbab
ye main ki aap mo'amma hun aap apna hi hal
main aap apna hi habil apna hi qabil
meri hi zat hai maqtul-o-qatil-o-maqtal
baras baras ki tarah tha nafas nafas mera
sadi sadi ki tarah kaTta raha pal pal
tera wajud hai la-raib ashraf-o-a’la
jo sach kahun to nahin main bhi arzal-o-asfal
ye waqi’a hai ki sha'ir wo dekh sakta hai
rahe jo tere farishton ki aankh se ojhal
wo par-fishan hain magar ghol-e-shapparak ki tarah
so raegan hain ki jun chashm-e-kor mein kajal
mere liye to hai sau baKHshishon ki ek baKHshish
qalam jo afsar-o-tabl-o-‘alam se hai afzal
yahi qalam hai ki jis ki sitara-sazi se
dilon mein jot jagati hai 'ishq ki mash'al
yahi qalam hai jo dukh ki ruton mein baKHshta hai
dilon ko pyar ka marham sukun ka sandal
yahi qalam hai ki e’jaz-e-harf se jis ke
tamam ‘ishwa-taraazan-e-shahr hain pagal
yahi qalam hai ki jis ne mujhe ye dars diya
ki sang-o-KHisht ki zad par rahenge shish-mahal
yahi qalam hai ki jis ki sarir ke aage
hain surma dar-gulu KHunKHar lashkaron ke bigal
yahi qalam hai ki jis ke hunar se nikle hain
rah-e-hayat ke KHam hon ki zulf-e-yar ke bal
yahi qalam hai ki jis ki 'ata se mujh ko mile
ye chahaton ke shagufe mohabbaton ke kanwal
tamam sina-figaron ko yaad mere suKHan
har ek ghairat-e-mariyam ke lab pe meri ghazal
isi ne sahl kiye mujh pe zindagi ke 'azab
wo ahd-e-sang-zani tha ki daur-e-tegh-e-ajal
isi ne mujh ko sujhai hai rah-e-ahl-e-safa
isi ne mujh se kaha hai pul-e-siraat pe chal
isi ne mujh ko chaTanon ke hausle baKHshe
wo karbala-e-fana thi ki kargah-e-jadal
isi ne mujh se kaha ism-e-ahl-e-sidq amar
isi ne mujh se kaha sach ka faisla hai aTal
isi ke faiz se aatish-kade hue gulzar
isi ke lutf se har zisht ban gaya ajmal
isi ne mujh se kaha jo mila bahut kuchh hai
isi ne mujh se kaha jo nahin hai hath na mal
isi ne mujh ko qana'at ka boriya baKHsha
isi ke hath se dast-e-daraaz-e-tam’ hai shal
isi ki aag se mera wajud raushan hai
isi ki aab se mera zamir hai saiqal
isi ne mujh se kaha bai'at-e-yazid na kar
isi ne mujh se kaha maslak-e-husain pe chal
isi ne mujh se kaha zahr ka piyala uTha
isi ne mujh se kaha jo kaha hai us se na Tal
isi ne mujh se kaha ‘ajizi se mat na kha
isi ne mujh se kaha maslahat ki chaal na chal
isi ne mujh se kaha ghairat-e-suKHan ko na bech
ki KHun-e-dil ke sharaf ko na ashrafi se badal
isi ne mujh ko 'inayat kiya yad-e-baiza
isi ne mujh se kaha sehr-e-samri se nikal
isi ne mujh se kaha 'aql tah-nashini hai
isi ne mujh se kaha warta-e-KHirad se nikal
isi ne mujh se kaha waz'-e-'ashiqi ko na chhoD
wo KHwah 'ijz ka lamha ho ya ghurur ka pal
aziyyaton mein bhi baKHshi mujhe wo ne'mat-e-sabr
ki mere dil mein girah hai na mere mathe pe bal
hain sabt sina-e-mahtab par qadam mere
hain muntazir mere mirriKH-o-mushtari-o-zuhal
teri 'ata ke sabab ya meri ana ke sabab
kisi du'a ka hai mauqa na iltija ka mahal
so tujh sa hai koi KHaliq na mujh si hai maKHluq
na koi tera hai sani na koi mera badal
'faraaz' tu bhi junun mein kidhar gaya hai nikal
tera dayar mohabbat teri nigar ghazal
qaf
Tapak chuka hai bahut teri aankh se KHun-nab
baras chuka hai bahut tere dard ka baadal
kuchh aur der abhi hasrat-e-visal mein rah
kuchh aur der abhi aatish-e-firaq mein jal
kisi bahaar-e-shimail ki baat kar ki bane
har ek harf shagufa har ek lafz kanwal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.