muaf kijiye gustaKHiyan hamari hain
mu'āf kījiye gustāḳhiyāñ hamārī haiñ
laboñ pe aap ke ye titliyāñ hamārī haiñ
ye chait kā hai mahīna tumhārī yaad bharā
ki in dinoñ baḌī sar-garmiyāñ hamārī haiñ
tumhāre hoñToñ se kuchh rābte haiñ gahre se
tumhārī āñkhoñ meñ dilchaspiyāñ hamārī haiñ
har ek lafz hai phīkā hai be-svād sā hai
bahut lazīz ye ḳhāmoshiyāñ hamārī haiñ
bharī do-pahrī meñ phailā hai shor yādoñ kā
tumhārī alganī par hichkiyāñ hamārī haiñ
mu'af kijiye gustaKHiyan hamari hain
labon pe aap ke ye titliyan hamari hain
ye chait ka hai mahina tumhaari yaad bhara
ki in dinon baDi sar-garmiyan hamari hain
tumhaare honTon se kuchh rabte hain gahre se
tumhaari aankhon mein dilchaspiyan hamari hain
har ek lafz hai phika hai be-swad sa hai
bahut laziz ye KHamoshiyan hamari hain
bhari do-pahri mein phaila hai shor yaadon ka
tumhaari algani par hichkiyan hamari hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.