mubarak baada-KHwaron ko ki din sawan ke aate hain
mubārak bāda-ḳhvāroñ ko ki din sāvan ke aate haiñ
havā badlī hai bādal rīsh-e-qāzī ban ke aate haiñ
tumhāre tiir rag rag meñ rag-e-jāñ ban ke aate haiñ
gale se siine meñ siine se dil meñ chhan ke aate haiñ
junūñ meñ dil se maiñ sadqe tirī rozī-risānī ke
ki mere sāmne TukḌe mire dāman ke aate haiñ
bahut bikhrī huī zulfeñ nazar aatī haiñ rāhoñ meñ
bahut bikte hue phande mirī gardan ke aate haiñ
tirī hasrat jab aatī hai musībat ho ke aatī hai
tire armān jab aate haiñ dushman ban ke aate haiñ
ġhazab hai muft dil lenā aur us par yuuñ ulajh paḌnā
ki goyā daam mujh par gesū-e-pur-fan ke aate haiñ
bahāna kosne kā mil gayā hai fātiha kaisī
vo donoñ haath uThā.e sāmne madfan ke aate haiñ
laḌakpan dekhnā kahne lage dekhā jo ā.īna
khilaune kitne ko is rang is roġhan ke aate haiñ
bigaḌne ke liye zulfeñ haiñ luTne ke liye joban
mirā māthā Thanaktā hai vo jab ban Than ke aate haiñ
dil-e-betāb merā dūsrā ma.ashūq hai goyā
use andāz un kī chulbulī chitvan ke aate haiñ
tire paikāñ ghule jaate haiñ mere shīsha-e-dil meñ
araq ho ho ke rahte haiñ parī ban ban ke aate haiñ
ye matlab hai ki ye tasvīr-e-kohna tum se behtar hai
ticket chaspāñ tumhāre naam ḳhat dushman ke aate haiñ
ilāhī un kā jalva hai ki parda chashm-e-'rāsiḳh' kā
chamak jaatī hai bijlī paas jab chilman ke aate haiñ
mubarak baada-KHwaron ko ki din sawan ke aate hain
hawa badli hai baadal rish-e-qazi ban ke aate hain
tumhaare tir rag rag mein rag-e-jaan ban ke aate hain
gale se sine mein sine se dil mein chhan ke aate hain
junun mein dil se main sadqe teri rozi-risani ke
ki mere samne TukDe mere daman ke aate hain
bahut bikhri hui zulfen nazar aati hain rahon mein
bahut bikte hue phande meri gardan ke aate hain
teri hasrat jab aati hai musibat ho ke aati hai
tere arman jab aate hain dushman ban ke aate hain
ghazab hai muft dil lena aur us par yun ulajh paDna
ki goya dam mujh par gesu-e-pur-fan ke aate hain
bahana kosne ka mil gaya hai fatiha kaisi
wo donon hath uThae samne madfan ke aate hain
laDakpan dekhna kahne lage dekha jo aaina
khilaune kitne ko is rang is roghan ke aate hain
bigaDne ke liye zulfen hain luTne ke liye joban
mera matha Thanakta hai wo jab ban Than ke aate hain
dil-e-betab mera dusra mashuq hai goya
use andaz un ki chulbuli chitwan ke aate hain
tere paikan ghule jate hain mere shisha-e-dil mein
araq ho ho ke rahte hain pari ban ban ke aate hain
ye matlab hai ki ye taswir-e-kohna tum se behtar hai
ticket chaspan tumhaare nam KHat dushman ke aate hain
ilahi un ka jalwa hai ki parda chashm-e-'rasiKH' ka
chamak jati hai bijli pas jab chilman ke aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.