Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mubarak ho ye tarz-e-be-ruKHi ye hausla tujhko

Iqbal Ashhar Quraishi

mubarak ho ye tarz-e-be-ruKHi ye hausla tujhko

Iqbal Ashhar Quraishi

MORE BYIqbal Ashhar Quraishi

    mubārak ho ye tarz-e-be-ruḳhī ye hausla tujh ko

    mujhe bhuul jaa.e itnī ḳhushiyāñ de ḳhudā tujh ko

    hazāroñ aks lahrāte haiñ sat.h-e-āb-dīda par

    kise nābūd kar denā hai tūfān-e-balā tujh ko

    kahīñ ḳhuddāriyāñ tanhā.iyoñ se jheñp jaatī haiñ

    mire kuchh sher paḌh lenā maza aa jā.egā tujh ko

    vaqār-e-shaḳhsiyat meñ farq to paḌtā nahīñ lekin

    asar-andāz hotā hai hamārā dekhnā tujh ko

    ye kyā andāz hai 'ash.har' sharīfoñ se taḳhātub

    sharaf baḳhshā na jā.egā kisī taqrīb tujh ko

    mubarak ho ye tarz-e-be-ruKHi ye hausla tujh ko

    mujhe tu bhul jae itni KHushiyan de KHuda tujh ko

    hazaron aks lahraate hain sath-e-ab-dida par

    kise nabud kar dena hai tufan-e-bala tujh ko

    kahin KHuddariyan tanhaiyon se jhenp jati hain

    mere kuchh sher paDh lena maza aa jaega tujh ko

    waqar-e-shaKHsiyat mein farq to paDta nahin lekin

    asar-andaz hota hai hamara dekhna tujh ko

    ye kya andaz hai 'ashhar' sharifon se taKHatub ka

    sharaf baKHsha na jaega kisi taqrib ka tujh ko

    Source :
    • Book : Be Sada Faryaad (Ghazals) (Pg. 76)
    • Author : Iqbal Ashhar Qureshi
    • Publication : Fine Art Group Publications (2012)
    • Edition : 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now