mubarakbaad phulon ke liye aur Khaar par lanat
mubārakbād phūloñ ke liye aur ḳhaar par la.anat
are maalī usūloñ par tire kirdār par la.anat
jo hāsil hai vahī kaafī hai bas mere guzāre ko
karūñ maiñ shukriya is paar kā us paar par la.anat
vo jis kī diid se āñkhoñ kī bīnā.ī chalī jaa.e
to us husn-e-sarāpā ke hai phir dīdār par la.anat
hamāre zahr ne dekho yahāñ manzar badal Daale
sapere ne kahā ajgar tirī phunkār par la.anat
hifāzat kar nahīñ saktā hai jo apne qabīle kī
koī kaise nahīñ bhejegā us sardār par la.anat
kisī mazlūm kī ḳhātir agar ye uTh nahīñ saktī
to hai phir zang-ālūd aap kī talvār par la.anat
na tū hī hai mire ghar meñ na hai tasvīr hī terī
bhalā kaise na bhejūñ phir dar-o-dīvār par la.anat
samajhdārī se apnī race jiitī ek kachhue ne
are ḳhargosh terī chaal par raftār par la.anat
agarche saal ke bāvan dinoñ us se bichhaḌnā hai
to phir har ik mahīne ke har ik itvār par la.anat
agar logoñ meñ nafrat bāñTanā hai shā.erī terī
to ai 'ujjval' tirī mahfil tire ash.ār par la.anat
mubarakbaad phulon ke liye aur KHar par lanat
are mali usulon par tere kirdar par lanat
jo hasil hai wahi kafi hai bas mere guzare ko
karun main shukriya is par ka us par par lanat
wo jis ki did se aankhon ki binai chali jae
to us husn-e-sarapa ke hai phir didar par lanat
hamare zahr ne dekho yahan manzar badal Dale
sapere ne kaha ajgar teri phunkar par lanat
hifazat kar nahin sakta hai jo apne qabile ki
koi kaise nahin bhejega us sardar par lanat
kisi mazlum ki KHatir agar ye uTh nahin sakti
to hai phir zang-alud aap ki talwar par lanat
na tu hi hai mere ghar mein na hai taswir hi teri
bhala kaise na bhejun phir dar-o-diwar par lanat
samajhdari se apni race jiti ek kachhue ne
are KHargosh teri chaal par raftar par lanat
agarche sal ke bawan dinon us se bichhaDna hai
to phir har ek mahine ke har ek itwar par lanat
agar logon mein nafrat banTana hai shaeri teri
to ai 'ujjwal' teri mahfil tere ashaar par lanat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.