mubtala-e-hiras lagti hai
mubtalā-e-hirās lagtī hai
zindagī bad-havās lagtī hai
zindagī josh se bharī thī kabhī
ab to ḳhālī gilās lagtī hai
kaisā guzrā hai hādisa jaane
saarī bastī udaas lagtī hai
kis qadar bad-numā hai ye duniyā
kis qadar ḳhush-libās lagtī hai
bhuul jaatā hai tishnagī sab kī
jab samundar ko pyaas lagtī hai
garm nazroñ se dekhne vaale
aag sī dil ke paas lagtī hai
jeb ḳhālī ho jab 'kamāl-anvar'
das kī gintī pachās lagtī hai
mubtala-e-hiras lagti hai
zindagi bad-hawas lagti hai
zindagi josh se bhari thi kabhi
ab to KHali gilas lagti hai
kaisa guzra hai hadisa jaane
sari basti udas lagti hai
kis qadar bad-numa hai ye duniya
kis qadar KHush-libas lagti hai
bhul jata hai tishnagi sab ki
jab samundar ko pyas lagti hai
garm nazron se dekhne wale
aag si dil ke pas lagti hai
jeb KHali ho jab 'kamal-anwar'
das ki ginti pachas lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.