mubtala hona hai mujhko thoDa sa bedad bhi
mubtalā honā hai mujh ko thoḌā sā bedād bhī
rizq bhī hai vaj.h is kī aur terī yaad bhī
dil makāñ merā banā kar ghar basāyā aur kā
ek ghar ābād tab se ek dil barbād bhī
apne kapḌoñ par lagānā Thiik se paivand tum
hū-ba-hū insānoñ jaise lagte haiñ jallād bhī
aur kitnī nāz-bardārī karūñ is jism kī
miTTī ke but kī ziyāda hai nahīñ mī'ād bhī
kyā miyāñ har baar kah dete ho ki bas Thiik hai
muskurā ke do kabhī merī ġhazal pe daad bhī
mubtala hona hai mujh ko thoDa sa bedad bhi
rizq bhi hai wajh is ki aur teri yaad bhi
dil makan mera bana kar ghar basaya aur ka
ek ghar aabaad tab se ek dil barbaad bhi
apne kapDon par lagana Thik se paiwand tum
hu-ba-hu insanon jaise lagte hain jallad bhi
aur kitni naz-bardari karun is jism ki
miTTi ke but ki ziyaada hai nahin mi'ad bhi
kya miyan har bar kah dete ho ki bas Thik hai
muskura ke do kabhi meri ghazal pe dad bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.