muD ke dekhun to nahin koi magar lagta hai
muḌ ke dekhūñ to nahīñ koī magar lagtā hai
ek saaya sā pas-e-gard-e-safar lagtā hai
kaan dhartā huuñ to hotī hai samā.at majrūh
apnī hī ḳhvāhish-e-be-bāk se Dar lagtā hai
is tamāshe se nikal paañv to ghar bhī dekhūñ
ye tamāsha jo sar-e-rāhguzar lagtā hai
niiñd aa jaa.e to phir dhuup na saaya koī
paañv thak jaa.eñ to pardes bhī ghar lagtā hai
aañkh uThātā huuñ to hai raah meñ haa.il dīvār
paañv rakhtā huuñ to dīvār meñ dar lagtā hai
kyā qayāmat hai ki aatā hai na jaatā hai koī
ik hayūlā pas-e-dīvār magar lagtā hai
baat kartā huuñ to maḳhmūr sā ho jaatā huuñ
us kī bātoñ meñ 'ziyā' mai kā asar lagtā hai
muD ke dekhun to nahin koi magar lagta hai
ek saya sa pas-e-gard-e-safar lagta hai
kan dharta hun to hoti hai samaat majruh
apni hi KHwahish-e-be-bak se Dar lagta hai
is tamashe se nikal panw to ghar bhi dekhun
ye tamasha jo sar-e-rahguzar lagta hai
nind aa jae to phir dhup na saya koi
panw thak jaen to pardes bhi ghar lagta hai
aankh uThata hun to hai rah mein hail diwar
panw rakhta hun to diwar mein dar lagta hai
kya qayamat hai ki aata hai na jata hai koi
ek hayula pas-e-diwar magar lagta hai
baat karta hun to maKHmur sa ho jata hun
us ki baaton mein 'ziya' mai ka asar lagta hai
- Book : Pas-e-Gard-e-Safar (Pg. 88)
- Author : Zia Farooqui
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.