muddaa dil ka kabhi lab aashna hota nahin
muddaa dil ka kabhi lab aashna hota nahin
Qaisar Haideri Dehlvi
MORE BYQaisar Haideri Dehlvi
mudda.ā dil kā kabhī lab āshnā hotā nahīñ
ishq kā mafhūm lafzoñ meñ adā hotā nahīñ
husn vāloñ kā karam dil par ravā hotā nahīñ
ye ḳhabar hotī to un par mubtalā hotā nahīñ
maut se bad-tar hai tere āsare par zindagī
kaash koī zindagī kā aasrā hotā nahīñ
aap ke hamrāh sab dāman-kashāñ hone lage
aaj dil meñ dard bhī kal se sivā hotā nahīñ
hijr kā ġham har ghaḌī hai saath saa.e kī tarah
ya.anī tārīkī meñ bhī mujh se judā hotā nahīñ
maiñ gadā-e-kū-e-jānāñ huuñ to sab haiñ ta.ana-zan
varna 'qaisar' ālam-e-imkāñ meñ kyā hotā nahīñ
muddaa dil ka kabhi lab aashna hota nahin
ishq ka mafhum lafzon mein ada hota nahin
husn walon ka karam dil par rawa hota nahin
ye KHabar hoti to un par mubtala hota nahin
maut se bad-tar hai tere aasare par zindagi
kash koi zindagi ka aasra hota nahin
aap ke hamrah sab daman-kashan hone lage
aaj dil mein dard bhi kal se siwa hota nahin
hijr ka gham har ghaDi hai sath sae ki tarah
yani tariki mein bhi mujh se juda hota nahin
main gada-e-ku-e-jaanan hun to sab hain tana-zan
warna 'qaisar' aalam-e-imkan mein kya hota nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.