muddaa jo zehn se uTTha tha wo beja na tha
mudda.ā jo zehn se uTThā thā vo bejā na thā
dil bahut ma.asūm thā dil aql-parvarda na thā
maiñ tilism-e-raushnī se khā rahā thā kyuuñ fareb
dhuup thī to thā mirā apnā koī saaya na thā
jañgaloñ ne kar liyā taslīm jaane kyuuñ gunāh
ai jahān-e-nau tirā ilzām tak puḳhta na thā
raqs karte karte ik din ḳhaak ho jā.eñge ham
rañj farmā.egā is darja junūñ sochā na thā
maiñ shurū-e-ishq meñ hal karne vaalā thā ise
mas.ala rūh-o-badan kā itnā pechīda na thā
jab yahāñ rahne ke sab asbāb yakjā kar liye
tab khulā mujh par ki maiñ duniyā kā bāshinda na thā
rafta rafta maut kī jānib baḌhā kyuuñ har koī
zindagī meñ kyā burā thā zindagī meñ kyā na thā
muddaa jo zehn se uTTha tha wo beja na tha
dil bahut masum tha dil aql-parwarda na tha
main tilism-e-raushni se kha raha tha kyun fareb
dhup thi to tha mera apna koi saya na tha
jangalon ne kar liya taslim jaane kyun gunah
ai jahan-e-nau tera ilzam tak puKHta na tha
raqs karte karte ek din KHak ho jaenge hum
ranj farmaega is darja junun socha na tha
main shuru-e-ishq mein hal karne wala tha ise
masala ruh-o-badan ka itna pechida na tha
jab yahan rahne ke sab asbab yakja kar liye
tab khula mujh par ki main duniya ka bashinda na tha
rafta rafta maut ki jaanib baDha kyun har koi
zindagi mein kya bura tha zindagi mein kya na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.