muddaa kuchh bhi ho lekin muddaa rakkha karo
mudda.ā kuchh bhī ho lekin mudda.ā rakkhā karo
jazba-e-ta.amīr se bhī vāsta rakkhā karo
zindagī ke rāste meñ haiñ hazāroñ Thokareñ
ābla-pā.ī salāmat jo sila rakkhā karo
mil hī jaate haiñ ye aksar zindagī kī moḌ par
ajnabī chehroñ se ḳhud ko āshnā rakkhā karo
dekhnā shola-bayānī bhī adā ban jā.egī
talḳhī-e-iz.hār meñ husn-e-adā rakkhā karo
mom se bhī dostī ho aur sho.aloñ se bhī pyaar
phir bhī un ke darmiyāñ kuchh fāsla rakkhā karo
ghup añdherā ho to phir miltī nahīñ rāh-e-najāt
zehn-o-dil kā raushnī se rābta rakkhā karo
tum ko jiinā hai 'asar' is inqilābī daur meñ
apnī fitrat meñ zarā fikr-e-rasā rakkhā karo
muddaa kuchh bhi ho lekin muddaa rakkha karo
jazba-e-tamir se bhi wasta rakkha karo
zindagi ke raste mein hain hazaron Thokaren
aabla-pai salamat jo sila rakkha karo
mil hi jate hain ye aksar zindagi ki moD par
ajnabi chehron se KHud ko aashna rakkha karo
dekhna shola-bayani bhi ada ban jaegi
talKHi-e-izhaar mein husn-e-ada rakkha karo
mom se bhi dosti ho aur shoalon se bhi pyar
phir bhi un ke darmiyan kuchh fasla rakkha karo
ghup andhera ho to phir milti nahin rah-e-najat
zehn-o-dil ka raushni se rabta rakkha karo
tum ko jina hai 'asar' is inqilabi daur mein
apni fitrat mein zara fikr-e-rasa rakkha karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.