muddaa kya zaban se nikla
mudda.ā kyā zabān se niklā
tiir thā jo kamān se niklā
dil meñ utrā kabhī kabhī ḳhanjar
harf ban kar zabān se niklā
daam se bach nikalne vaale kā
kaam ūñchī uḌaan se niklā
mudda.ā ḳhāmushī meñ rahtā hai
mudda.ā kab zabān se niklā
raat maiñ Dar gayā kitāboñ se
jaane kyā dāstān se niklā
raat kā dard kis ne samjhā hai
din isī aan baan se niklā
jab nasheb-o-farāz ne rokā
rāsta darmiyān se niklā
pūchhiye qurq karne vāloñ se
kyā milā kyā makān se niklā
baḌh ke dastak jo dī ujāloñ ne
ek saaya makān se niklā
muddaa kya zaban se nikla
tir tha jo kaman se nikla
dil mein utra kabhi kabhi KHanjar
harf ban kar zaban se nikla
dam se bach nikalne wale ka
kaam unchi uDan se nikla
muddaa KHamushi mein rahta hai
muddaa kab zaban se nikla
raat main Dar gaya kitabon se
jaane kya dastan se nikla
raat ka dard kis ne samjha hai
din isi aan ban se nikla
jab nasheb-o-faraaz ne roka
rasta darmiyan se nikla
puchhiye qurq karne walon se
kya mila kya makan se nikla
baDh ke dastak jo di ujalon ne
ek saya makan se nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.