muddai ishq ke chehron hi pe marte dekhe
mudda.ī ishq ke chehroñ hī pe marte dekhe
rāste dil ke badan hī se guzarte dekhe
ḳhud-parastī meñ anā meñ had-e-fāsil khīñchī
kitne chehre inhī āñkhoñ ne utarte dekhe
zindagī se koī samjhauta bahut mumkin thā
muḌ ke dekhā to sabhī faisle marte dekhe
merī āñkhoñ se hai shikva to vo ā.īna uThā.e
aur ā.īnoñ ko sargoshiyāñ karte dekhe
kis ke ghar aa.e the kah duuñ to baḌā.ī hogī
varna anvār to logoñ ne utarte dekhe
muddai ishq ke chehron hi pe marte dekhe
raste dil ke badan hi se guzarte dekhe
KHud-parasti mein ana mein had-e-fasil khinchi
kitne chehre inhi aankhon ne utarte dekhe
zindagi se koi samjhauta bahut mumkin tha
muD ke dekha to sabhi faisle marte dekhe
meri aankhon se hai shikwa to wo aaina uThae
aur aainon ko sargoshiyan karte dekhe
kis ke ghar aae the kah dun to baDai hogi
warna anwar to logon ne utarte dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.