muddai us se suKHan-saz ba-salusi hai
mudda.ī us se suḳhan-sāz ba-sālūsī hai
phir tamannā ko yahāñ shaqqa-e-māyūsī hai
aah ai kasrat-e-dāġh-e-ġham-e-ḳhūbāñ ki mudām
safha-e-sīna pur-az-jalva-e-tā.ūsī hai
merī hī tarah jigar ḳhuuñ hai tirā muddat se
ai hinā kis kī tujhe ḳhvāhish-e-pā-bosī hai
tohmat-e-ishq abas karte haiñ mujh ko 'minnat'
haañ ye sach milne kī ḳhūbāñ se to ik ḳhū sī hai
muddai us se suKHan-saz ba-salusi hai
phir tamanna ko yahan shaqqa-e-mayusi hai
aah ai kasrat-e-dagh-e-gham-e-KHuban ki mudam
safha-e-sina pur-az-jalwa-e-tausi hai
meri hi tarah jigar KHun hai tera muddat se
ai hina kis ki tujhe KHwahish-e-pa-bosi hai
tohmat-e-ishq abas karte hain mujh ko 'minnat'
han ye sach milne ki KHuban se to ek KHu si hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.