muddat ke baad soch mein ghaltan hua to kya
muddat ke baad soch meñ ġhaltāñ huā to kyā
apne kiye pe aap hī hairāñ huā to kyā
ik pās-e-rasm thā jise ham ne nibhā diyā
ab vo kiye pe apne pashemāñ huā to kyā
ye sab adā.eñ husn kī haiñ ishq ke liye
kitnā hī pur-fusūñ ruḳh-e-ḳhūbāñ huā to kyā
ye husn-e-sañg bhī but-e-zebā ke dam se hai
nīlam huā to kyā koī marjāñ huā to kyā
kuchh aur bhī hasīn hai ḳhvāboñ kī dhuñd meñ
zāhir huā to kyā koī pinhāñ huā to kyā
hasrat hai shahr-e-yār meñ marnā nasīb ho
jagmag huā to kyā huā vīrāñ huā to kyā
muddat ke baad soch mein ghaltan hua to kya
apne kiye pe aap hi hairan hua to kya
ek pas-e-rasm tha jise hum ne nibha diya
ab wo kiye pe apne pasheman hua to kya
ye sab adaen husn ki hain ishq ke liye
kitna hi pur-fusun ruKH-e-KHuban hua to kya
ye husn-e-sang bhi but-e-zeba ke dam se hai
nilam hua to kya koi marjaan hua to kya
kuchh aur bhi hasin hai KHwabon ki dhund mein
zahir hua to kya koi pinhan hua to kya
hasrat hai shahr-e-yar mein marna nasib ho
jagmag hua to kya hua viran hua to kya
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 42)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.