muddat ke baad un se mulaqat ho gai
muddat ke baad un se mulāqāt ho ga.ī
dil meñ jo aarzū thī vahī baat ho ga.ī
hai tujh meñ ḳhud bhī husn-e-haqīqī kī ik jhalak
chāhat tirī sharīk-e-ibādāt ho ga.ī
maiñ phir junūñ meñ bhuul gayā rāh-e-kū-e-yār
itnī ajiib gardish-e-hālāt ho ga.ī
jab se nigāh-e-yār ne dekhā hai us taraf
apnī nazar to nazr-e-ināyāt ho ga.ī
kūche meñ un ke phirte rahoge kahāñ talak
'aḳhtar' ab apne ghar ko chalo raat ho ga.ī
muddat ke baad un se mulaqat ho gai
dil mein jo aarzu thi wahi baat ho gai
hai tujh mein KHud bhi husn-e-haqiqi ki ek jhalak
chahat teri sharik-e-ibaadat ho gai
main phir junun mein bhul gaya rah-e-ku-e-yar
itni ajib gardish-e-haalat ho gai
jab se nigah-e-yar ne dekha hai us taraf
apni nazar to nazr-e-inayat ho gai
kuche mein un ke phirte rahoge kahan talak
'aKHtar' ab apne ghar ko chalo raat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.