muddat se kisi Thahri hui aab-o-hawa mein
muddat se kisī Thahrī huī āb-o-havā meñ
zinda huuñ yahāñ zahr bharī āb-o-havā meñ
achchhā nahīñ lagtā hai magar ai shab-e-hijrāñ
tahlīl to honā hai isī āb-o-havā meñ
us ko bhī na lag jaa.e kisī hijr kī dīmak
ik vasl jo raushan hai tirī āb-o-havā meñ
jis haal meñ huuñ ye bhī mayassar nahīñ sab ko
maanā ki vo lazzat na rahī āb-o-havā meñ
shādāb nahīñ hoñge kabhī ḳhvāb hamāre
har chand ki raushan haiñ khulī āb-o-havā meñ
maiñ apnī taraf baḌhne lagā aap hī 'aḳhtar'
kyā josh-e-aqīdat thā na.ī āb-o-havā meñ
muddat se kisi Thahri hui aab-o-hawa mein
zinda hun yahan zahr bhari aab-o-hawa mein
achchha nahin lagta hai magar ai shab-e-hijran
tahlil to hona hai isi aab-o-hawa mein
us ko bhi na lag jae kisi hijr ki dimak
ek wasl jo raushan hai teri aab-o-hawa mein
jis haal mein hun ye bhi mayassar nahin sab ko
mana ki wo lazzat na rahi aab-o-hawa mein
shadab nahin honge kabhi KHwab hamare
har chand ki raushan hain khuli aab-o-hawa mein
main apni taraf baDhne laga aap hi 'aKHtar'
kya josh-e-aqidat tha nai aab-o-hawa mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.