muddat se uske shahr se guzra nahin hun main
muddat se us ke shahr se guzrā nahīñ huuñ maiñ
par zehn-o-dil se aaj bhī niklā nahīñ huuñ maiñ
terī har ek saañs ko apnī banā liyā
aur tū ye kah rahā hai ki terā nahīñ huuñ maiñ
bas ik zarā sī baat pe bad-nām kar diyā
sab ko batā rahā hai ki achchhā nahīñ huuñ maiñ
maiñ dūsroñ ko Dhāltā huuñ apne rang meñ
hargiz kisī ke rang meñ Dhaltā nahīñ huuñ maiñ
duniyā samajhtī mujh ko ḳhirad-mand is liye
ki guftugū fuzūl kī kartā nahīñ huuñ maiñ
qismat ne mujh ko zero se hero banā diyā
huuñ aaj bhī maiñ vaisā hī badlā nahīñ huuñ maiñ
'anvar' shabāb us kā ki koī gulāb hai
afsos ye hai mujh ko ki bhañvrā nahīñ huuñ maiñ
muddat se us ke shahr se guzra nahin hun main
par zehn-o-dil se aaj bhi nikla nahin hun main
teri har ek sans ko apni bana liya
aur tu ye kah raha hai ki tera nahin hun main
bas ek zara si baat pe bad-nam kar diya
sab ko bata raha hai ki achchha nahin hun main
main dusron ko Dhaalta hun apne rang mein
hargiz kisi ke rang mein Dhalta nahin hun main
duniya samajhti mujh ko KHirad-mand is liye
ki guftugu fuzul ki karta nahin hun main
qismat ne mujh ko zero se hero bana diya
hun aaj bhi main waisa hi badla nahin hun main
'anwar' shabab us ka ki koi gulab hai
afsos ye hai mujh ko ki bhanwra nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.