muddaten ho gain jise khoe
muddateñ ho ga.iiñ jise kho.e
dil use bār-bār kyoñ ro.e
ḳhuun hī to hai ārzūoñ kā
koī dāman ko apne kyoñ dho.e
fasl kā intizār karnā hai
ham ne khetoñ meñ qahqahe bo.e
jis ko jaanā thā vo ravāna huā
rone-dhone se kuchh nahīñ ho.e
niiñd bachpan meñ jaise aatī thī
phir kabhī is tarah nahīñ so.e
dil ko patthar banā liyā lekin
ek din be-sabab bahut ro.e
muddaten ho gain jise khoe
dil use bar-bar kyon roe
KHun hi to hai aarzuon ka
koi daman ko apne kyon dhoe
fasl ka intizar karna hai
hum ne kheton mein qahqahe boe
jis ko jaana tha wo rawana hua
rone-dhone se kuchh nahin hoe
nind bachpan mein jaise aati thi
phir kabhi is tarah nahin soe
dil ko patthar bana liya lekin
ek din be-sabab bahut roe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.