muddaton baad wo KHushbu ki tarah aaega
muddatoñ baa'd vo ḳhushbū kī tarah aa.egā
merā ujḌā huā ghar phir se mahak jā.egā
us ke rone kā bhī andāz baḌā pyārā hai
vo kisī tarh se dil ko mire pighlā.egā
Tuut hī jaatā ye shīsha to na hotā ehsās
kyā ḳhabar thī ki vo raste meñ bichhaḌ jā.egā
tū jo merā na huā aas na TuuTī merī
ik tirā ġham hī mire dil ko bahut bhā.egā
us ke jaane kā koī ġham to nahīñ hai mujh ko
jaane ab aur vo kab tak mujhe tarsā.egā
jaag uTThegā jo ehsās kisī din 'afsar'
mere andar kā ye fankār ubhar āye.gā
muddaton ba'd wo KHushbu ki tarah aaega
mera ujDa hua ghar phir se mahak jaega
us ke rone ka bhi andaz baDa pyara hai
wo kisi tarh se dil ko mere pighlaega
Tut hi jata ye shisha to na hota ehsas
kya KHabar thi ki wo raste mein bichhaD jaega
tu jo mera na hua aas na TuTi meri
ek tera gham hi mere dil ko bahut bhaega
us ke jaane ka koi gham to nahin hai mujh ko
jaane ab aur wo kab tak mujhe tarsaega
jag uTThega jo ehsas kisi din 'afsar'
mere andar ka ye fankar ubhar aayega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.