muddaton baad hum kisi se mile
muddatoñ baad ham kisī se mile
yuuñ lagā jaise zindagī se mile
is tarah koī kyuuñ kisī se mile
ajnabī jaise ajnabī se mile
saath rahnā magar judā rahnā
ye sabaq ham ko aap hī se mile
zikr kāñToñ kī dushmanī kā nahīñ
zaḳhm phūloñ kī dostī se mile
un kā milnā bhī thā na milnā sā
vo mile bhī to be-ruḳhī se mile
dil ne majbūr kar diyā hogā
jis se milnā na thā usī se mile
un añdheroñ kā kyā gila 'maḳhmūr'
vo añdhere jo raushnī se mile
muddaton baad hum kisi se mile
yun laga jaise zindagi se mile
is tarah koi kyun kisi se mile
ajnabi jaise ajnabi se mile
sath rahna magar juda rahna
ye sabaq hum ko aap hi se mile
zikr kanTon ki dushmani ka nahin
zaKHm phulon ki dosti se mile
un ka milna bhi tha na milna sa
wo mile bhi to be-ruKHi se mile
dil ne majbur kar diya hoga
jis se milna na tha usi se mile
un andheron ka kya gila 'maKHmur'
wo andhere jo raushni se mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.