muddaton baad wo galiyan wo jharoke dekhe
muddatoñ ba.ad vo galiyāñ vo jharoke dekhe
jism kī raakh se uThte hue sho.ale dekhe
dil meñ dar aa.iiñ ga.ī sā.ateñ ḳhushbū ban kar
sadiyoñ kī niiñd se phir jāgte lamhe dekhe
rañg barsātī vahī sub.h vahī bhīgtī shaam
vahī ehsās meñ Duube hue saa.e dekhe
ek ik moḌ mile bichhḌe ḳhayāloñ ke hujūm
suune darvāzoñ meñ phir chāñd se chehre dekhe
ek ik aañkh pe lamhoñ kā fusūñ taarī hai
kaun us vaqt kī dīvār se aage dekhe
tah meñ baste haiñ chamakte hue rañgoñ ke nagar
koī is ghor añdhere meñ utar ke dekhe
'shām' jab toḌ liyā us se thā jo bhī rishta
apne iz.hār ke phir kitne hī raste dekhe
muddaton baad wo galiyan wo jharoke dekhe
jism ki rakh se uThte hue shoale dekhe
dil mein dar aain gai saaten KHushbu ban kar
sadiyon ki nind se phir jagte lamhe dekhe
rang barsati wahi subh wahi bhigti sham
wahi ehsas mein Dube hue sae dekhe
ek ek moD mile bichhDe KHayalon ke hujum
sune darwazon mein phir chand se chehre dekhe
ek ek aankh pe lamhon ka fusun tari hai
kaun us waqt ki diwar se aage dekhe
tah mein baste hain chamakte hue rangon ke nagar
koi is ghor andhere mein utar ke dekhe
'sham' jab toD liya us se tha jo bhi rishta
apne izhaar ke phir kitne hi raste dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.