muddaton jis se mulaqat na thi
muddatoñ jis se mulāqāt na thī
jab vo aayā to koī baat na thī
dil bhī kuchh sard huā jaatā hai
mujh meñ bhī shiddat-e-jazbāt na thī
vo ki samjhā hī nahīñ nazroñ ko
merī āñkhoñ meñ koī raat na thī
kaise mumkin thā ki hotī mujh ko
merī qismat meñ agar maat na thī
maiñ ki khoī rahī apne man meñ
mere raste meñ mirī zaat na thī
muddaton jis se mulaqat na thi
jab wo aaya to koi baat na thi
dil bhi kuchh sard hua jata hai
mujh mein bhi shiddat-e-jazbaat na thi
wo ki samjha hi nahin nazron ko
meri aankhon mein koi raat na thi
kaise mumkin tha ki hoti mujh ko
meri qismat mein agar mat na thi
main ki khoi rahi apne man mein
mere raste mein meri zat na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.