muddaton ke baad jab pahuncha wo apne ganw mein
muddatoñ ke ba.ad jab pahuñchā vo apne gaañv meñ
jhurriyāñ chehre pe thiiñ aur aable the paañv meñ
ab to shāyad gir gayā hogā vo pīpal kā daraḳht
bachpane meñ ham milā karte the jis kī chhāñv meñ
kaun aa.egā mirī dahlīz pe barsoñ ke ba.ad
aaj ham phir kho ga.e kavve ke kaañv kaañv meñ
taaki mujh pe shahr kī uryāniyāñ ġhālib na hoñ
apnī āñkheñ chhoḌ aayā huuñ maiñ apne gaañv meñ
ek samundar aañkh meñ thā maujzan 'tālib' magar
umr-bhar ham tishna-lab bhaTkā kiye sahrāoñ meñ
muddaton ke baad jab pahuncha wo apne ganw mein
jhurriyan chehre pe thin aur aable the panw mein
ab to shayad gir gaya hoga wo pipal ka daraKHt
bachpane mein hum mila karte the jis ki chhanw mein
kaun aaega meri dahliz pe barson ke baad
aaj hum phir kho gae kawwe ke kanw kanw mein
taki mujh pe shahr ki uryaniyan ghaalib na hon
apni aankhen chhoD aaya hun main apne ganw mein
ek samundar aankh mein tha maujzan 'talib' magar
umr-bhar hum tishna-lab bhaTka kiye sahraon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.