muddaton socha kiya kahne ko kuchh
muddatoñ sochā kiyā kahne ko kuchh
phir bhī mujh se kyā banā kahne ko kuchh
jis ke muñh meñ hī zabāñ hotī na thī
aaj vo bhī aa gayā kahne ko kuchh
zabt ne mujh ko na kuchh kahne diyā
dard thā kab se uThā kahne ko kuchh
jo bhī aayā muñh meñ vo tum kah ga.e
tum ne ab chhoḌā hai kyā kahne ko kuchh
tum ne jab tark-e-ta.alluq kar liyā
kyoñ bachāte ho bhalā kahne ko kuchh
vo milā lekin maiñ kyā kahtā use
us ke aage thā hī kyā kahne ko kuchh
kab tū guzregā idhar se ai ḳhudā
maiñ huuñ sadiyoñ se khaḌā kahne ko kuchh
'rāz' ab kyā pūchhte ho maut se
zindagī ne kyā diyā kahne ko kuchh
muddaton socha kiya kahne ko kuchh
phir bhi mujh se kya bana kahne ko kuchh
jis ke munh mein hi zaban hoti na thi
aaj wo bhi aa gaya kahne ko kuchh
zabt ne mujh ko na kuchh kahne diya
dard tha kab se uTha kahne ko kuchh
jo bhi aaya munh mein wo tum kah gae
tum ne ab chhoDa hai kya kahne ko kuchh
tum ne jab tark-e-talluq kar liya
kyon bachate ho bhala kahne ko kuchh
wo mila lekin main kya kahta use
us ke aage tha hi kya kahne ko kuchh
kab tu guzrega idhar se ai KHuda
main hun sadiyon se khaDa kahne ko kuchh
'raaz' ab kya puchhte ho maut se
zindagi ne kya diya kahne ko kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.