muddaton tak udas baiTha hun
muddatoñ tak udaas baiThā huuñ
tab kahīñ tere paas baiThā huuñ
ek lamhe kī zindagī ke liye
ik sadī se udaas baiThā huuñ
bārgāh-e-ḳhudā meñ aksar maiñ
ruuh tak be-libās baiThā huuñ
maut tujh se Darā nahīñ huuñ maiñ
zindagī se udaas baiThā huuñ
yaar kī hī mujhe tamanna hai
maiñ kiye iltimās baiThā huuñ
tū udhar bad-havās baiThā hai
maiñ idhar ġham-shanās baiThā huuñ
muddaton tak udas baiTha hun
tab kahin tere pas baiTha hun
ek lamhe ki zindagi ke liye
ek sadi se udas baiTha hun
bargah-e-KHuda mein aksar main
ruh tak be-libas baiTha hun
maut tujh se Dara nahin hun main
zindagi se udas baiTha hun
yar ki hi mujhe tamanna hai
main kiye iltimas baiTha hun
tu udhar bad-hawas baiTha hai
main idhar gham-shanas baiTha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.