muddaton ye soch kar tanhai mein taDpa kiye
muddatoñ ye soch kar tanhā.ī meñ taḌpā kiye
ho ga.e ham se judā vo aur ham dekhā kiye
ek lamhe meñ jo kar baiThe haiñ dīvāne tire
log sadiyoñ us kī lā-mahdūdiyat samjhā kiye
kāmyābī apne hisse meñ kabhī thī hī nahīñ
ham ne nākāmī se apne rāste paidā kiye
bevafā.ī us kī mere saath mat shāmil karo
jurm ham ne ishq meñ jitne kiye tanhā kiye
haath lagte hī bikhar jaatā hai jin kā shoḳh rañg
umr bhar in titliyoñ kī khoj meñ bhāgā kiye
muddaton ye soch kar tanhai mein taDpa kiye
ho gae hum se juda wo aur hum dekha kiye
ek lamhe mein jo kar baiThe hain diwane tere
log sadiyon us ki la-mahdudiyat samjha kiye
kaamyabi apne hisse mein kabhi thi hi nahin
hum ne nakaami se apne raste paida kiye
bewafai us ki mere sath mat shamil karo
jurm hum ne ishq mein jitne kiye tanha kiye
hath lagte hi bikhar jata hai jin ka shoKH rang
umr bhar in titliyon ki khoj mein bhaga kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.