muflis ko samajh aaenge aazar namak ke
muflis ko samajh aaenge aazar namak ke
Mukarram Husain Awan Zamzam
MORE BYMukarram Husain Awan Zamzam
muflis ko samajh ā.eñge āzār namak ke
paanī kī kahānī meñ haiñ kirdār namak ke
ḳheme ke charāġhoñ ko bujhāne se khulegā
hubdār-e-vafā ho yā ki hubdār namak ke
saa.e kī tarah rahte haiñ ḳhush-hālī meñ lekin
bārish meñ bikhar jaate haiñ sab yaar namak ke
ye shaam kī bastī hai yahāñ sar haiñ sināñ par
milte hī nahīñ ḳhuun meñ āsār namak ke
ik shahr-e-mohabbat kī sajāvaT kī ġharaz se
ashkoñ se churā.e ga.e mīnār namak ke
raftār-e-zamāna ne batāyā ye sabab hai
naav ko Dubo dete haiñ ġhaddār namak ke
guftār ke nashtar se kuredo na zubūñ ko
ye zaḳhm-e-junūñ haiñ nahīñ haqdār namak ke
thoḌī sī namī ho to pighal jaate haiñ 'zamzam'
darpesh haiñ maḳhlūq ko sardār namak ke
muflis ko samajh aaenge aazar namak ke
pani ki kahani mein hain kirdar namak ke
KHeme ke charaghon ko bujhane se khulega
hubdar-e-wafa ho ya ki hubdar namak ke
sae ki tarah rahte hain KHush-haali mein lekin
barish mein bikhar jate hain sab yar namak ke
ye sham ki basti hai yahan sar hain sinan par
milte hi nahin KHun mein aasar namak ke
ek shahr-e-mohabbat ki sajawaT ki gharaz se
ashkon se churae gae minar namak ke
raftar-e-zamana ne bataya ye sabab hai
naw ko Dubo dete hain ghaddar namak ke
guftar ke nashtar se kuredo na zubun ko
ye zaKHm-e-junun hain nahin haqdar namak ke
thoDi si nami ho to pighal jate hain 'zamzam'
darpesh hain maKHluq ko sardar namak ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.