muflisi mein ghurur bhi sunnat
muflisī meñ ġhurūr bhī sunnat
aur amīrī meñ 'ājizī sunnat
ham ne jab bhī subūt māñgā hai
aap ne ham ko pesh kī sunnat
yuuñ to haiñ sunnateñ mujaddid kī
jis se ham ne udhār lī sunnat
aao ḳhud se ye ham savāl kareñ
aaj hai kitne kaam kī sunnat
daur-e-hāzir meñ be-ma'ānī hai
is liye ham ne chhoḌ dī sunnat
muflisi mein ghurur bhi sunnat
aur amiri mein 'ajizi sunnat
hum ne jab bhi subut manga hai
aap ne hum ko pesh ki sunnat
yun to hain sunnaten mujaddid ki
jis se hum ne udhaar li sunnat
aao KHud se ye hum sawal karen
aaj hai kitne kaam ki sunnat
daur-e-hazir mein be-ma'ani hai
is liye hum ne chhoD di sunnat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.