muflison ki kahan bazar se gaDi nikli
muflisoñ kī kahāñ bāzār se gaaḌī niklī
jab saḌak par kabhī raftār se gaaḌī niklī
jhopḌī aa ga.ī raste meñ hamārī jab se
phir isī ghar kī hī dīvār se gaaḌī niklī
aaj kuchh majma' ne kuchh baat na maanī un kī
tez raftār meñ inkār se gaaḌī niklī
vo apāhij thā bhaTaktā rahā rikshe ke liye
the baḌe log to sarkār se gaaḌī niklī
lāTrī sab ke muqaddar meñ kahāñ miltī hai
log kuchh kahte haiñ aḳhbār se gaaḌī niklī
duur tak dikhtā gayā shīshe meñ jhilmil koī
haañ magar shor se jhankār se gaaḌī niklī
muflison ki kahan bazar se gaDi nikli
jab saDak par kabhi raftar se gaDi nikli
jhopDi aa gai raste mein hamari jab se
phir isi ghar ki hi diwar se gaDi nikli
aaj kuchh majma' ne kuchh baat na mani un ki
tez raftar mein inkar se gaDi nikli
wo apahij tha bhaTakta raha rikshe ke liye
the baDe log to sarkar se gaDi nikli
laTri sab ke muqaddar mein kahan milti hai
log kuchh kahte hain aKHbar se gaDi nikli
dur tak dikhta gaya shishe mein jhilmil koi
han magar shor se jhankar se gaDi nikli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.