muft dushnam-e-yar sunte hain
muft dushnām-e-yār sunte haiñ
ek kah kar hazār sunte haiñ
tum himāyat karo na ġhairoñ kī
chaar kahte haiñ chaar sunte haiñ
ham fidā-e-chaman qafas meñ bhī
zikr-e-fasl-e-bahār sunte haiñ
kuchh to hai baat jo tire muñh se
suḳhan-e-nāgavār sunte haiñ
aap aur aa.eñ apne vaade par
aise fiqre hazār sunte haiñ
us se milne ko dil taḌaptā hai
ham jise be-qarār sunte haiñ
ham taġhazzul meñ aaj tujh ko 'rashīd'
hāsil-e-rozgār sunte haiñ
muft dushnam-e-yar sunte hain
ek kah kar hazar sunte hain
tum himayat karo na ghairon ki
chaar kahte hain chaar sunte hain
hum fida-e-chaman qafas mein bhi
zikr-e-fasl-e-bahaar sunte hain
kuchh to hai baat jo tere munh se
suKHan-e-nagawar sunte hain
aap aur aaen apne wade par
aise fiqre hazar sunte hain
us se milne ko dil taDapta hai
hum jise be-qarar sunte hain
hum taghazzul mein aaj tujh ko 'rashid'
hasil-e-rozgar sunte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.