muft raaz-e-zindagi ruswa kiya
muft rāz-e-zindagī rusvā kiyā
ai mirī vāraftagī ye kyā kiyā
zindagī kyā thī tilism-e-āb-o-gil
maiñ ḳhudā jaane ki kyā samjhā kiyā
vus.ateñ hī vus.ateñ aa.iiñ nazar
jis taraf uTThī nazar dekhā kiyā
ek manzar bhī nahīñ ab dil-pazīr
tū ne ai afsurdagī ye kyā kiyā
manzar-e-hastī kī ibrat-ḳhezīyāñ
jis ne dekhā umr bhar royā kiyā
muft raaz-e-zindagi ruswa kiya
ai meri waraftagi ye kya kiya
zindagi kya thi tilism-e-ab-o-gil
main KHuda jaane ki kya samjha kiya
wusaten hi wusaten aain nazar
jis taraf uTThi nazar dekha kiya
ek manzar bhi nahin ab dil-pazir
tu ne ai afsurdagi ye kya kiya
manzar-e-hasti ki ibrat-KHeziyan
jis ne dekha umr bhar roya kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.