mughaalate mein kahan rahoge rahoge kab tak
muġhālate meñ kahāñ rahoge rahoge kab tak
sitam jo hogā to tum sahoge sahoge kab tak
ye aise samjho bhañvar hai kashtī hai aur tum ho
yahāñ pe kaise kahāñ bahoge bahoge kab tak
yahāñ har ik shai badal ga.ī hai bigaḌ ga.ī hai
ye TuuTā dil hai yahāñ rahoge rahoge kab tak
ye mahfileñ haiñ rivāyatoñ kī sabhī haiñ turram
to baat ab tum yahāñ kahoge kahoge kab tak
mughaalate mein kahan rahoge rahoge kab tak
sitam jo hoga to tum sahoge sahoge kab tak
ye aise samjho bhanwar hai kashti hai aur tum ho
yahan pe kaise kahan bahoge bahoge kab tak
yahan har ek shai badal gai hai bigaD gai hai
ye TuTa dil hai yahan rahoge rahoge kab tak
ye mahfilen hain riwayaton ki sabhi hain turram
to baat ab tum yahan kahoge kahoge kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.