muhafiz ho chaman ke tum to phir fikr-o-nazar rakh lo
muhāfiz ho chaman ke tum to phir fikr-o-nazar rakh lo
lahū kī gar zarūrat ho to kuchh ḳhūn-e-jigar rakh lo
husūl-e-ārzū meñ manzileñ dushvār hotī haiñ
agar sahrā se guzro to samundar kī ḳhabar rakh lo
tan-e-nāzuk aur us pe yuuñ ḳhirām-e-nāz se chalnā
ye shahr-e-sang hai patthar se bachne kā hunar rakh lo
kisī kī zaat pe uñglī uThāne se zarā pahle
zarā ik aa.ina shaffāf bhī zer-e-nazar rakh lo
havas har gaam pe madd-e-muqābil hogī ai ātish
batau-e-rahnumā aql-o-ḳhirad har gaam pe rakh lo
muhafiz ho chaman ke tum to phir fikr-o-nazar rakh lo
lahu ki gar zarurat ho to kuchh KHun-e-jigar rakh lo
husul-e-arzu mein manzilen dushwar hoti hain
agar sahra se guzro to samundar ki KHabar rakh lo
tan-e-nazuk aur us pe yun KHiram-e-naz se chalna
ye shahr-e-sang hai patthar se bachne ka hunar rakh lo
kisi ki zat pe ungli uThane se zara pahle
zara ek aaina shaffaf bhi zer-e-nazar rakh lo
hawas har gam pe madd-e-muqabil hogi ai aatish
batau-e-rahnuma aql-o-KHirad har gam pe rakh lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.