muhajir hain rahne ko ghar mangte hain
muhājir haiñ rahne ko ghar māñgte haiñ
ye kyā ham se ahl-e-safar māñgte haiñ
bahut pī chuke haiñ shafaq kā lahū ham
nayā ek jām-e-sahar māñgte haiñ
tirā naqsh-e-pā gar nahīñ hai to kyā ġham
havādis mirī rahguzar māñgte haiñ
ġhanīmat haiñ TuuTe hue aa.ine bhī
ye patthar to dast-e-hunar māñgte haiñ
hai zinda qafas meñ chaman kī tamannā
azā.em mire bāl-o-par māñgte haiñ
nazāroñ ke parde uThā kar to dekho
nazāre bhī husn-e-nazar māñgte haiñ
sabaq de rahe the jo zabt-e-alam kā
vahī 'tāj' soz-e-jigar māñgte haiñ
muhajir hain rahne ko ghar mangte hain
ye kya hum se ahl-e-safar mangte hain
bahut pi chuke hain shafaq ka lahu hum
naya ek jam-e-sahar mangte hain
tera naqsh-e-pa gar nahin hai to kya gham
hawadis meri rahguzar mangte hain
ghanimat hain TuTe hue aaine bhi
ye patthar to dast-e-hunar mangte hain
hai zinda qafas mein chaman ki tamanna
azaem mere baal-o-par mangte hain
nazaron ke parde uTha kar to dekho
nazare bhi husn-e-nazar mangte hain
sabaq de rahe the jo zabt-e-alam ka
wahi 'taj' soz-e-jigar mangte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.