muhtaj-e-did-o-jalwa karun kyun nazar ko main
muhtāj-e-dīd-o-jalva karūñ kyuuñ nazar ko maiñ
nazroñ meñ khīñch laatā huuñ jab jalva-gar ko maiñ
dekhūñ to jurm aur na dekhūñ to kufr hai
ab kyā kahūñ jamāl-e-ruḳh-e-fitna-gar ko maiñ
aisā nahīñ ki dil meñ mire zaḳhm hī na ho
āñkhoñ meñ rok letā huuñ ḳhūn-e-jigar ko maiñ
dāmān-e-sabr chhūTne lagtā hai haath se
jab dekhtā huuñ dūrī-e-shām-o-sahar ko maiñ
manzil pe aa ke aaj ye samjhā ki aaj tak
manzil samajh rahā thā faqat rahguzar ko maiñ
manzil kī justujū meñ na jaane kahāñ kahāñ
sar par liye phirā huuñ ġhubār-e-safar ko maiñ
ik qasr-e-ārzū thā girā TuuT TuuT kar
hasrat se dekhtā rahā dīvār-o-dar ko maiñ
milne ko 'nūr' yuuñ to bahut ġham yahāñ mile
tarsā tamām umr ġham-e-mo'tabar ko maiñ
muhtaj-e-did-o-jalwa karun kyun nazar ko main
nazron mein khinch lata hun jab jalwa-gar ko main
dekhun to jurm aur na dekhun to kufr hai
ab kya kahun jamal-e-ruKH-e-fitna-gar ko main
aisa nahin ki dil mein mere zaKHm hi na ho
aankhon mein rok leta hun KHun-e-jigar ko main
daman-e-sabr chhuTne lagta hai hath se
jab dekhta hun duri-e-sham-o-sahar ko main
manzil pe aa ke aaj ye samjha ki aaj tak
manzil samajh raha tha faqat rahguzar ko main
manzil ki justuju mein na jaane kahan kahan
sar par liye phira hun ghubar-e-safar ko main
ek qasr-e-arzu tha gira TuT TuT kar
hasrat se dekhta raha diwar-o-dar ko main
milne ko 'nur' yun to bahut gham yahan mile
tarsa tamam umr gham-e-mo'tabar ko main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.