mujh aise shaKHs ki hajat-rawai karte hue
mujh aise shaḳhs kī hājat-ravā.ī karte hue
bhaTak gayā thā vo kār-e-ḳhudā.ī karte hue
ki bātoñ bātoñ meñ manzil se duur le gayā thā
vo nā-ḳhudā-e-suḳhan rahnumā.ī karte hue
abhī hai vaise kā vaisā hī haal andar kā
ki umr Dhal ga.ī dil kī safā.ī karte hue
nisāb-e-ishq abhī tak hai māvarā-e-ḳhirad
ki tiis saal hue haiñ paḌhā.ī karte hue
halāl luqma khilānā hai apne bachchoñ ko
hamesha soch ye rakkhī kamā.ī karte hue
vo khel baiThā mohabbat se phir mohabbat ne
javābī vaar kiyā kāravā.ī karte hue
na koī dukh kā ta.assur na thī pashemānī
malāl tak na huā bevafā.ī karte hue
diyā palaT ke sahārā sisaktī beTī ne
ki baap girne lagā thā vidā.ī karte hue
taḌap ke rakh diye āñkhoñ pe merī haath us ne
maiñ zaḳhm dekh rahā thā silā.ī karte hue
jo mo'atabar gine jaate the vo bhī paa.e ga.e
ġhalat jagah pe ġhalat ham-navā.ī karte hue
ḳhulūs raas na aayā 'umar' ki jo bhī milā
daġhā hī detā gayā bhaa.ī bhaa.ī karte hue
mujh aise shaKHs ki hajat-rawai karte hue
bhaTak gaya tha wo kar-e-KHudai karte hue
ki baaton baaton mein manzil se dur le gaya tha
wo na-KHuda-e-suKHan rahnumai karte hue
abhi hai waise ka waisa hi haal andar ka
ki umr Dhal gai dil ki safai karte hue
nisab-e-ishq abhi tak hai mawara-e-KHirad
ki tis sal hue hain paDhai karte hue
halal luqma khilana hai apne bachchon ko
hamesha soch ye rakkhi kamai karte hue
wo khel baiTha mohabbat se phir mohabbat ne
jawabi war kiya karawai karte hue
na koi dukh ka tassur na thi pashemani
malal tak na hua bewafai karte hue
diya palaT ke sahaara sisakti beTi ne
ki bap girne laga tha widai karte hue
taDap ke rakh diye aankhon pe meri hath us ne
main zaKHm dekh raha tha silai karte hue
jo mo'atabar gine jate the wo bhi pae gae
ghalat jagah pe ghalat ham-nawai karte hue
KHulus ras na aaya 'umar' ki jo bhi mila
dagha hi deta gaya bhai bhai karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.