mujh dard sen yar aashna nain
mujh dard señ yaar āshnā na.iiñ
shāyad ki kisī kā mubtalā na.iiñ
ḳhūbāñ kuuñ ravā hai qatl-e-āshiq
is shahr meñ rasm-e-ḳhūñ-bahā na.iiñ
nahīñ baar yazīd-e-bul-havas kuuñ
zālim kī galī hai karbalā na.iiñ
tujh zulf meñ dil ne gum kiyā raah
is paihamm galī kuuñ intihā na.iiñ
ai sham-e-dil-e-'sirāj' mujh kuuñ
jalne ke baġhair mudda.ā na.iiñ
mujh dard sen yar aashna nain
shayad ki kisi ka mubtala nain
KHuban kun rawa hai qatl-e-ashiq
is shahr mein rasm-e-KHun-baha nain
nahin bar yazid-e-bul-hawas kun
zalim ki gali hai karbala nain
tujh zulf mein dil ne gum kiya rah
is paihamm gali kun intiha nain
ai sham-e-dil-e-'siraj' mujh kun
jalne ke baghair muddaa nain
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 521)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.