mujh darwesh ko matlab kya hai mansab se jagiron se
mujh darvesh ko matlab kyā hai mansab se jāgīroñ se
jis ne shab-bhar ḳhvāb bune hoñ vo uljhe tā'bīroñ se
ghar-ghar ḳhushbū baañT rahā huuñ ek dukāñ hai phūloñ kī
kuchh rangoñ se rabt hai merā kuchh raġhbat tasvīroñ se
aksar auñdhe muñh girte haiñ havā kī rau meñ bahte log
aksar khel bigaḌ jaate haiñ be-mauqa’ tadbīroñ se
kaisā rog lagā hai dil ko jaane kyā bīmārī hai
chāragaroñ se baat banī hai pīroñ se na faqīroñ se
bas ye soch ke ḳhāmoshī hai būḌhe baap ke hoñToñ par
bachche bāġhī ho jaate haiñ aksar ab taqrīroñ se
harf-harf se rang uḌeñ aur lafz-lafz meñ ḳhushbū ho
aisā ho koī likhne vaalā phuul khileñ tahrīroñ se
kis ne niiñd uḌā rakkhī hai 'ādil' pahre-dāroñ kī
kaun ye pāgal khel rahā hai zindāñ meñ zanjīroñ se
mujh darwesh ko matlab kya hai mansab se jagiron se
jis ne shab-bhar KHwab bune hon wo uljhe ta'biron se
ghar-ghar KHushbu banT raha hun ek dukan hai phulon ki
kuchh rangon se rabt hai mera kuchh raghbat taswiron se
aksar aundhe munh girte hain hawa ki rau mein bahte log
aksar khel bigaD jate hain be-mauqa’ tadbiron se
kaisa rog laga hai dil ko jaane kya bimari hai
chaaragaron se baat bani hai piron se na faqiron se
bas ye soch ke KHamoshi hai buDhe bap ke honTon par
bachche baghi ho jate hain aksar ab taqriron se
harf-harf se rang uDen aur lafz-lafz mein KHushbu ho
aisa ho koi likhne wala phul khilen tahriron se
kis ne nind uDa rakkhi hai 'adil' pahre-daron ki
kaun ye pagal khel raha hai zindan mein zanjiron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.