mujh diye par ye ek ata rahi hai
mujh diye par ye ik atā rahī hai
ḳhud muhāfiz mirī havā rahī hai
log sahme hue haiñ hijrat se
dhuul chehroñ pe muskurā rahī hai
tere īmān kā ḳhudā-hāfiz
tū use naam se bulā rahī hai
shor har gaam kāmyāb rahā
ḳhāmushī ġham meñ mubtalā rahī hai
vaqt par kaar ban gayā so yahāñ
bebasī dā.ere banā rahī hai
is ta.alluq pe maut vājib thī
dostī darmiyān aa rahī hai
tere mutalāshiyoñ kī ḳhair jinheñ
tīrgī rāste batā rahī hai
is kā radd-e-amal bhī dhyān meñ rakh
tū agar mas.ala uThā rahī hai
ham ġharīboñ kī umr bhar 'faisal'
pahlī tarjīh bas anā rahī hai
mujh diye par ye ek ata rahi hai
KHud muhafiz meri hawa rahi hai
log sahme hue hain hijrat se
dhul chehron pe muskura rahi hai
tere iman ka KHuda-hafiz
tu use nam se bula rahi hai
shor har gam kaamyab raha
KHamushi gham mein mubtala rahi hai
waqt par kar ban gaya so yahan
bebasi daere bana rahi hai
is talluq pe maut wajib thi
dosti darmiyan aa rahi hai
tere mutalashiyon ki KHair jinhen
tirgi raste bata rahi hai
is ka radd-e-amal bhi dhyan mein rakh
tu agar masala uTha rahi hai
hum gharibon ki umr bhar 'faisal'
pahli tarjih bas ana rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.